08/06/2021
🌸 *Hazrat Ameer Muawiya Radi Allahu Anhu Par Imam, Muhaddiseen Aur Sufiya ka Qaul* 💚
💞Dua E Mustafa Alaihis salam : "Aye Allah! Muawiya ko Hadi, Mehdi aur Hidayat wala bana De (yani hidayat ka sabab Bane aur log hidayat Hasil kare)
Jami Tirmizi jild 2 kitab ul Manaqib
Fazail E sahaba safa 748 (Imam Ahmad Bin Hambal)
💖Hukumat ki Dua : Huzoor farmaty hain,"Aey Allah Muavia ko kitab,hisaab ,ka ilm ata kr or in shehro pr Hukumat ata kr or Ise aag(jahanum)sy bacha"
Mojum ul kabeer jild 18 hadees 628(imam tibrani)
💓Hazrat Abu Darda sahabi farmaty hain ke "maine huzoor ke bad muavia se barh kar huzoor Jesi namaz parhny wala koi ni dekhaa(fawaid E Muntaqat, safa 67(Imam samarkandi )
🤍 *Imam e Azam* ka kaul hai ke "hm ahl e sunnat Sab sahaba ka zikr khair se hi krty hain ,,..(Fiqa Akbar safa 85)
🖤 *Imam Ahmad bin Hambal* kehty hain "jo admi hazrat muaavia ko bura kahe, us ke Piche namaz parhna or iski izzat krna manaa hai(manaqib ahmed bin hambal jild 2 imam ibn e jozi)
💜 *Imam Malik* kehty hain"jo admi hazrat Abu bakar,umar, hazrat muaavia or amer ibn aas pr badd goi kry to usy qaid kar ke sakht saza di jai (shifa sharif jild 2 qazi ayaaz maliki)
💙 *Shaikh Abdul qadir jillani* likhte hain k "khabardaar apni zuban Ali Or muaavia k darmiyan hone Wale waqiat par Band rakho siwaye bhalai ke inka zikr na Karo jb Imam Hasan Pak ne unko bait ata kr di to wo musalmano ke rehnuma huwe.(ghunya tu talibeen safa 192 khilafat ki behas)
💚 *Hazrat Mujadid Alf sani sirhindi* likhte hain "tamam biddati firko mein badtar firqa shia hai jo sahaba ko gaaliya deta hai .mola Ali Pak or muavia mein jo jange hui, haqq mola Ali ki tarf or khata ijtihadi muaavia ki tarf lekin is khata pr bi sawab Milega unhen.(maktubaat sharif jild 2)
💛 *Molana jalal ud din Rumi* likhte hain "Muavia ki ibadat ka Hal yeh hai k wo soye huwe thay unki fajr kaza hony ko thi ke shetan ny aakar unhen uthaya kyuki aik dafa unki namaz kaza ho g*i to unho ny zoher Tak nafal hi parhi, is khauf se uthaya(masnavi jild 2)
🧡 *Hazrat Data Ganj Bakhsh Ali hujveri* likhty hain k"imam hasan or husain muavia ka Nazrana qubool bi krte or wohi Nazrana Allah ki bargah main kharch bi krte.. (Kash ful mahjoob safa 58)
❤️ *Aa'la hazrat fazil e barelli* likty hain k "jo Muavia ko bura kahe wo jahanumi kutto main sy aik kutta hai"..(fatawa rizvia jild 29 )
💚 *Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi Rehmatullah Alaih* ne farmaya ke, " Maine Delhi Jane se Qabl dekha ke Ek bohot badha Noor hai.. Daryaft Par maloom hua ke chaaro yaro ka Noor hai phir aage ek aur Maidan dekha ,Waha Huzoor E Akram Sallallahu alaihi wasallam se Mulaqat hui aur aap ne Mujhe apne pas bulaya... Ek shakhs Hamare Rishte mein jo ke Sayyed Jalaluddin( Suyuti Rehmatullah alaih) ki Aulad hai, ..bohot door khadhe hue thay. Maine arz kiya, "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam! Yeh shakhs to Apki Aulad me hai aur itni door?... Huzoor Pur noor Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke, "yeh be-Adab hai "...is bat Par Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Rehmatullah alaih ne bayan farmaya ke, "unki be-Adbi ye thi ke woh Hazrat Mawiya Radi Allahu Anhu ko Bura kehte thay... Chunache humne un sahab se ye bayan kiya to usi waqt woh tayeb(Tauba karke or sharamsar )hokar hamare Mureed ho Gaye"
Phir Hazrat Maulana Fazle Rehma Rehmatullah alaih ne Farmaya ke, "Maine Hazrat Mawiya Radi Allahu anhu ko dekha to unse kaha ke Hazrat Ali aur Aap se kya hua ???..to Hazrat Mawiya ne Farmaya ke Beshak! Mujh se khata(Ijtihaadi)hui aur Mujhko Khajalat hai, Nadamat hai.
Afzaal E Rehmani : Page 144)
FB Group :